Saturday, May 28, 2005
Wednesday, May 11, 2005
Wednesday, May 04, 2005
Gulzar Poem
Kitaabein
---------
kitabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
maheeno ab mulakatein nahi hoti
jo shaamein inki suhbat main kata karti thein, ab aksar
guzar jaati hain computer ke pardon par
badi bechain rahti hain kitabein
inhe ab neend mein chalne ki aadat ho gayi hai
koi safha palaTta hoon to ik siski nikalti hai
kayi lafzon ke maani gir bhi parte hain
jo rishte woh sunaatee thein woh saare udhre udhre hain
aur woh jo kitaabon mein, mila karte the sookhe phool
kitaanein maangne, giraane, uthaane ke bahaane rishte bante the
na jaane unka kya hoga?
woh shaayad ab nahin honge!
-- Gulzar